Tuesday, February 12, 2019

YouTube see jyada money earning ke 15 tarike

Dosto aaj vartmaan me sabhi ke paas smartphone computer hai.sabhi youtube video banakar paisa kamana chahte hai.youtube isske liye behtar plateform hai.hm bahut sare paise kma sakte hai.jab koi youtube channel banata h shuruwat me sabhi confuse rahte hai ki kis topic par youtube video banaye.aaj is post me mai aapko batane wala hu ki kis topic par video banakar hm paise kma sakte hai.Hame un saral topic ko select karna chahiye jisme hmari pakad majbut ho.jiske bare me hame jyada knowadge ho. Beginning me hme malum nahi rahta ki hm kis topic par banaye. hm jo video paaye use apne channel par dalte rahte hai isse hmaara channel success nahi hota hai aur kuch hi din me hamara channel ke liye topic nahi milta aur channal band ho jaata hai.
Aaj mai aapko best topic ke bare me batata hu jisse aap apna youtube channel bana sakte hai.

Youyube channel ke liye best topic


1.comedy/funny video- hm apne channel me is tarah ke video ko jyada banakr dalna chahiye kyoki is tarah ke video hamesh trend me rahta hai log hamesh pasand bhi karte hai.hm is tarh ke video bana sakte hai.

2. tech knowadge guide-technical chijo se sambandhit video ya tech tutorial bna sakte hai.chahe pc ho ya mobile ya koi bhi machine ke tutorial bana sakte hai.

3.singing & dancing-apne channel par singing aur dancing par video bana kar daal sakte hai.is tarh ke video aajkal yuwak warg bahut pasand karte hai.agar hame gaane ya nachane ka shouk hai ya hamara kissi dost ko hai to hm unke video bna sakte hai.

4.beauty tips-yah bhi ek saral topic hai.issme hm chote chote tips par video bana sakte hai, jaise make up kaise kare,best hair style,apne nakhuno ki dekhbhal kaise kare and many more.

5.samany gyan[gk]-aajkal bahut saare log compition exam ki taiyari karte hai.kai log ghar baith kar online taiyari karte hai.is tarh ke video unke liye jyada helpful rahta hai. samany gyan ke video bnakar channel bna sakte hai issme bhi bahut saare topic mil jayenge.

6.software tutorial-market me dino din naye naye software bante ja rahe hai.jise log aasani se use nahi kar paate aap unke liye software par tutorial banas akte hai aur apne youtube channel par daal sakte hai.

7.internet tips-internet sabhi logo ki pahuch tak hota jaa raha hai. Lekin sabhi log use istemaal nahi kar paa rahe hai.isliye internet par aap tips aur tricks par video bana sakte hai.

8.cooking and kitchen-youtube par bhi is tarh ke video pasand kiye jaate hai.agar aapko kitchen ke bare me knowadge hai.to is tarh ke channel bana sakte hai.

9.motivational video-aapme bolne ka hunar hai to aap logo ko motivate kar sakte hai is par video bana sakte hai.

10.kishi product par review –market me naye-naye product launch hote rahte hai.customer use kharidane se pahle uska review jarur dekhate hai.is topic par bana sakte hai.

11.android/window tips and tricks-android ke naye-naye version launch ho rahe hai isi tarh window me bhi latest version launch ho rahe hai. Uske user guide par kaise use kare is par video bana sakte hai.

12.Question  And Answer video-aap logo ke question and answer par bhi video bna skte hai. Comment me aksar logo dwara bahut saare question pucha jata hai is par youtube video bna sakte hai.

13.blogging par tutorial tips-agar hamari blogging me pakad hai to video bna sakte hai. is tarh ke video un biginer blogger ke liye helpful rahta hai jo blogging seekh rahe hai.

14.news-is par video banana saral hai isme hm ghatit ghatnao ko news bna kar daal sakte hai.

15.education rileted video-chote bachcho ke padhai se lekar bado ki padhai tak ke video bna sakte hai.

Inke atirikt kuch aur topic-

16.helth aur fitness par video.
17.kishi top chijo ka video banakar.
18.english speaking course.
19.shopping par video.
20. kya chij trend me hai is par video
21.computer se rileted video bnakar.

Dosto agar aap youtube channel bana kar paisa kamana chahte hai to aap in topic me se shuruwaat kar sakte hai. I hope yah aapke liye helpful hoga.
Agar aapke youtube se jude koi bhi sawal ho to mujhe comment box me jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

लेखक : शैलेन्द्र मिश्रा।
मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहां पर में नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी जानकारी प्रकाशित करता हूं।